Thursday, June 24, 2010

Eik thi kahani

Eik thi kahani uski behan thi mahani
Uska bhai tha basola, dono nay milker basaye teen gaon
Do ujray juraye, eik basa hi nahi
Jo basa hi nahi, us main utray teen kumhar
Do langray lolay, eik ka hath hi nahi
Jiska hath hi nahi, us nay banain teen handian
Do toti totai, eik ka tala hi nahi
Jiska tala hi nahi, us main pakaye teen chawal
Do enthay ethay, eik gala hi nahi
Jo gala hi nahi, us main utray teen mehman
Do rothay rothaye, eik mana hi nahi
Jo mana hi nahi, usko lagaye teen papoosh
Eik dain, eik bain, eik laga hi nahi

1 comment: