Sunday, May 27, 2007

Hamaqtain (99 Not Out) By Shafiq-ur-Rehman:

I like following paragraph from Hamaqtain (Urdu Adab Tanz-o-Mazah)

Deer tak yehi hota rahaaur woh dono aik dosray ko wahin thernay kay liye kehtay rahy. Aik gain buddy kay samnay say guzri, laikin uss nay hath tak nahi hilaya. Maloom howa kay janab larkiyon ko dekh rahy thay. Muft ki boundary hogaye. Qalandar sahib nay aik gaind howa main utha di. Shaitan(Rufi) ussay bakhoobi catch kar saktay thay, lainkn unhon nay gaind ki taraf dekha tak nahi. Kuch dair kay bad maloom howa kay siway bowler aur batsman kay, har eik rangeen libasoon aur haseen chehron ko dekh raha tha. Yahan tak kay jab Qalandar sahib nay wicket kay samnay tang aradi aur main nay chilla kar appeal ki to umpire sahib chonk paray. Jaisay jaag kar bolay-ain? Phir aahista aahista say kenay lagy- Bahi maaf karna, mera dihan kissi aur taraf tha- Halankay yeh umpire achay khasay qabar raseedah buzarg thay- Yon maloom horaha tha kay ham saari omer bowling kartay rahain gay aur qalandar sahib aur chnnion miyan sari omer khalty rahian gay-

4 comments: